Wednesday 11 May 2016

English Bolna Kaise Sikhe Job Karne Ke Liye

hello dosto aaj main ies post main aapko btaunga ki english bolna kaise sikha jata hain Friends aaj hamare desh me 70% English bola jata hai. Aur english bolne ka passion ban gya hai. English bolna aur shikhna bahutbada bussiness ban gya hai. Jaha dekho wahi sadko par english speaking ke ads dikh jayenge 60 Ghante me english bolna shikhe frarreate dar.Join alpha classes of languages. Par kya yah sach me effective hai ya nhi. Ye pahle se hi logo ke mind me galat dharna set kar dete hai ki 60 Ghante me English bolna shikhe lekin yah galat hai koi 60 Ghante me nhi shikh sakta. Ho sakta hai kuchh log fluent ho jaye. Par aise kam  log hote hai. Agar aap ko pahle se thoda bahut English ata hai to aap ke liye achha sabit ho sakta hai To chaliye mai apko english bolne ke liye kuchh tips btata hun.


 Enlish bolne ke liye upar images me likhe hue ko follow karnahoga Aur aapko English bolne 
ke liye basic grammar aana chahiye. Yah ek bahut bada myth  hai. English bolne ke liye bas aapko thoda badic grammar knowledge hona chahiye. Aapne dekha hoga ki kuch logo ko grammar ki jyada knowledge nhi hoti hai lekin English bolna shikh jate hai. Iska karad hai ki dusre ko dekh ke sunkar shikh jate hai. Agar koi kahe ki aap English bolna kuch hi din me shikh lenge to ye galat hai. Apne matrabhasa ke alawa dusri bhasa shikhne me time lagta hail.Aur kitna time lagega wo to person par depends karta hai ki kitna jaldi shikh jata hai. Iske liye aapko thoda dedicated hokar aur thoda effort karna padega aap kam se kam 4-5 mahine me shikh sakte hai. Vocubalary English bolne ke liye aapko vocabulary par nirbhar karta hai, ki apki vocabulary kitni strong hai. Agar aap 8-10 Words Daily  yaad karte hai to apko bahut  fayda hoga.

                                 English bolne ke liye kuchh sujhav


    Apana mahaul English banaye-Kisi bhi language ko shikhne ke liye sabse important hai ki
     hamara mahaul environment achha ho. Isliye English bolna shikhna hai to apna mahaul English banay. Jaise kuch trips deta hun.
      1. ENGLISH NEWSPAPER PADHE.
      2. ENGLISH SONGS SUNE.
      3. ENGLISH MOVIES DEKHE.
      4. ENGLISH ME COMICS PADH SAKTE HAI.
      EK GROUP BANAYE-
        
       Kuchh aise friends dhundhe jo vastav me english shikhana chahte ho. Aap unse english me bhi kare dare nhi ki aap galat bol rahe hai. Balki full confidence se bole kyoki iske sath apka jhijhak bhi dur ho jayega. aap hone par bhi english chat kar sakte hai.

        Happy group of students stock photo

        BOL KAR PADHE- 

         Har roj aap akele ya apne group me tej avaj me english ka koi article ya short story bol bol kar padhne se apka pronounciation sahi hoga Aur bolne me atmvishwas badega.
        • ENGLISH ME SOCHNA START KARE- 
        • Jab koi insaan man me kuchh sochta hai, 
        • to naturally vo apne matrabhasa me h
        • i sochta hai lekin aap english shikhne 
        • ke liye comitted hai. To aap jo sochte 
        • hai use English me sochiye yakin kijiye 
        • ki apke ye chhote- chhote efforts apko teji 
        • se apni manjil tak pahuch sakte hai.
        BACHHO KI COMICS PADHE

        Bacho ki comics books apki bahut help kar sakti hai. Usme diye gaye pictures apko story understand me help karengi simple sentence formation bhi aam bol chal me apki pakad bana dega.
        INTERNET KA USE KARE-

         Aap English bolna shikhne ke liye internet ka bharpur use kar sakte hai. Youtube par available videos bhi dekh sakte hai. isse apki kaphi help hogi, sahi pronunciation aur meaning ke liye aap Thefreedictionary.com ka use kar sakte hai.
        USE APPS-

         Aaj market me bahut sare application hai jaha aap in apps ke help se English shikh
         sakte hai.  Jaise ( ENGLISH DOST,
         HELLO ENGLISH, ENGLISH GRAMMAR)

        APNA INTEREST LOOSE MAT KARE- 
        Aap apne josho junoon ke sath English shikhe. Agar aap apna interest loose kar denge to 
        apka effort waste chala jayega To aaj hi se apne mission par lag jaye aap jarur safal honge.
          Agar apko ye article achha laga ho to aapcomment karke hame jarur btaye.

          No comments:

          Post a Comment