Friday 27 May 2016

Chehre ke Daag-Dhabbe hataye ( Remove Pimples )

  Chehre ke daag dhabbe kaise hataye

Hello friends,

Dosto is post me mai health ke bare me bta raha hun, kyoki mujhse kai log puchte hai ki yaar mere gaal par bahut daag dabbe nikal rahe hai, mai kya karu kaise hatau, to mai socha ki sabko batane se achha mai ek post likh deta hun jisse aur logo ki help ho jayegi.

Acne problem stock photo

Kaun nhi chahta ki uska chehre bina daag dhabbe ke ho. Agar chehra saaf-suthri ho to apne aap me confidence a jata hai. Har insaan ke chehare par muhase hote hai, jo ek daag chhod jate hai.

Agar apne chehare par bhi Daag hai to mai kuchh tips btata raha hun, jiske use se aap neat and clean chehra pa sakte hai. Ise bhi padhe
       


Kuchh Nuskhe jo Unchahe Daag ko remove karti hai.

1. NIMBU

Yeh ek pakritic bleach haik jo twacha se daag dhabbo ko htata hai, ise roj apne chehre par lagay. Agar lagane se jalan hoti hai to usme thoda pani mila le.

2. HALDI AND BESAN

Aap rojana Haldi aur Besan ka paste bana kar apne chehre par lagaye fir 15 min. baad thanda pani se dho le. isme maujud anti-bacteria tatya muhase hone se rokta hai.

Indulging in a deep cleansing masque stock photo

3. ALOEVERA GEL

Iske gel ko lagane se muhase thik ho jate hai. isko lagane se pahle muh achhi tarah dho le fir lagaye.

4. SHAHAD

Shahad se skin achhi ban jati hai. Yah skin ko andar se heal karti hai, twacha par pade daag - dhabbe ko hata kar use saaf karti hai.

5. THANDHA DOODH

Doodh me lactice acid hota hai, jisse twacha ke daag-dhabbe asaani se hat jate hai. Isse apne chehre par rojana kachche doodh ya thanda doodh lagaye isse apka chehara saaf hoga.

6. VITAMIN  E CAPSULE

Vitamin ek anti-oxidant hota hai, jo twacha ke liye bahut hi achha hota hai. Yah shareer se toxin ko nikalti hai, Vitamin E Capsule apne chehre par male ya Aap Capsule kha bhi sakte hai.

Best Of Luck.

Agar aapko health se judi koi samasya ho to aap hamse comment ke dwara puche.

Aur agar apko hamari new post padhani hai to aap http://www.facebook.com/hindimeinjaankari.com page ko like kar sakte hai.




No comments:

Post a Comment